vaqt se pahle huī shaam gila kis se karūñ
rah ga.e kitne mire kaam gila kis se karūñ
apnī nākām tamannā kā sabab maiñ to na thī
aa gayā mujh pe hī ilzām gila kis se karūñ
dil hirāsāñ hai bahut dekh ke anjām-e-vafā
ai mirī hasrat-e-nākām gila kis se karūñ
ab to vo mujh se milātā hī nahīñ apnī nazar
ab chhalakte hī nahīñ jaam gila kis se karūñ
mere qadmoñ ne mirā saath kahāñ chhoḌ diyā
manzil-e-shauq thī do-gām gila kis se karūñ
hijr kā rog bhī rusvā.ī bhī paa.ī 'rūmī'
pūchh mat ishq kā anjām gila kis se karūñ