Rumana Rumi

kai sawal machalte hain har sawal ke baad

Rumana Rumi

ka.ī savāl machalte haiñ har savāl ke ba.ad
shab-e-visāl se pahle shab-e-visāl ke ba.ad
na jaane kyuuñ ye mirā dil dhaḌakne lagtā hai
tire ḳhayāl se pahle tire ḳhayāl ke ba.ad
har ek daav se vāqif thī ai mire hamdam
maiñ terī chaal se pahle maiñ terī chaal ke ba.ad
na jaane kyuuñ tirī yādeñ tavāf kartī haiñ
kisī malāl se pahle kisī malāl ke ba.ad
tirī qasam tirā chehra hī rū-ba-rū thā mire
tire savāl se pahle tire savāl ke ba.ad
fazā meñ qaus-e-quzah sī bikhar ga.ī har samt
tire jamāl se pahle tire jamāl ke ba.ad
kahāñ thī ek hī hālat mire dil-o-jāñ kī
tire ḳhayāl se pahle tire ḳhayāl ke ba.ad
amīr-e-shahr unheñ yaad kar jo saath rahe
tire zavāl se pahle tire zavāl ke ba.ad
koī hai 'rūmī' musalsal savāl kartā hai
mire savāl se pahle mire savāl ke ba.ad
Top Urdushayar.com