Rumana Rumi

apni dida-wari se Darti hun

Rumana Rumi

apnī dīda-varī se Dartī huuñ
varna maiñ kab kisī se Dartī huuñ
asl se naqal baḌh na jaa.e kahīñ
fan-e-sūrat-garī se Dartī huuñ
mujh ko itnā ḳhudā kā ḳhauf nahīñ
jitnā maiñ aadmī se Dartī huuñ
dostī kī to baat hī na karo
maiñ bahut dostī se Dartī huuñ
tīrgī to mirī muhāfiz hai
ham-nafas raushnī se Dartī huuñ
jis ko insāniyat se pyaar na ho
aise har aadmī se Dartī huuñ
Duub jā.ūñ na maiñ ḳhudī meñ kahīñ
is liye is ḳhudī se Dartī huuñ
ḳhud kahīñ dil kahīñ dimāġh kahīñ
maiñ tirī bandagī se Dartī huuñ
maslahat se jo kaam lete haiñ
un kī kam-himmatī se Dartī huuñ
le na Duube tujhe ye ai 'rūmī'
maiñ tirī ḳhud-sarī se Dartī huuñ
Top Urdushayar.com