tere saath chaltī huuñ ik jahān jaatā hai
gar gurez kartī huuñ terā maan jaatā hai
dard ke havāle se kitnā bā-ḳhabar hai vo
mere dil kī bātoñ ko kaise jaan jaatā hai
dhuup hī to miltī hai zard zard mausam meñ
vahshatoñ ke sahrā meñ sā.ebān jaatā hai
ḳhāk-e-dil tujhe le kar ab kahāñ kahāñ jā.ūñ
gar zamīñ kī hotī huuñ āsmān jaatā hai
hijr ke samundar se maiñ guzar ke aa.ī huuñ
tere ab na milne se merā maan jaatā hai
jab ravish pe chaltī huuñ maiñ adā-e-vahshat kī
phuul ruuTh jaate haiñ gulsitān jaatā hai
bazm meñ use 'rūmī' jab bhī daf.atan dekhūñ
zabt hī nahīñ dil se har gumān jaatā hai