Rumana Rumi

madar-e-zat ke girdab se nikal aaun

Rumana Rumi

madār-e-zāt ke girdāb se nikal aa.uuñ
maiñ apnī zaat ke asbāb se nikal aa.uuñ
bas ek baar to paanī pe apnā aks dikhā
qasam ḳhudā kī maiñ sailāb se nikal aa.uuñ
jo mahv-e-raqs na huuñ merī ruuh ke hamrāh
maiñ aise halqa-e-ahbāb se nikal aa.uuñ
maiñ apnī jāgtī āñkhoñ se zindagī dekhūñ
mirī tamannā hai maiñ ḳhvāb se nikal aa.uuñ
tirā to lahja bahut dil-shikan hai ai jānāñ
tirī kahānī ke har baab se nikal aa.uuñ
jo tere lams kī hiddat ko jiit luuñ to maiñ
phir apnī zaat ke barfāb se nikal aa.uuñ
guñdhā huā hai mirī zaat ke ḳhamīr meñ ye
maiñ kaise ālam-e-asbāb se nikal aa.uuñ
ye raushnī mirī tahzīb kā hī hāsil hai
maiñ kaise halqa-e-ādāb se nikal aa.uuñ
jo merā pyaar hai 'rūmī' agar kabhī mil jaa.e
maiñ apnī zaat ke har ḳhvāb se nikal aa.uuñ
Top Urdushayar.com