miyān-e-jañg musalsal kamān khīñch ke rakh
guhar har ek shanāvar kā dhyān khīñch ke rakh
tū apne aap meñ ālī-maqām ho ki na ho
bas apne sāmne vāloñ ke kaan khīñch ke rakh
hazār zor dikhāveñ tujhe ye barsāteñ
mire uqaab tū apnī uḌaan khīñch ke rakh
abhī chhalāñg lagā.egā āsmāñ vaalā
tū bas zamīn pe kapḌe kā thaan khīñch ke rakh
na-jāne kaun-se lamha chalānī paḌ jaa.e
kamān khīñch ke rakh merī jaan khīñch ke rakh