tarz-e-maj.hūl sar-e-chashm numūdār hue
phuul hī phuul sar-e-chashm numūdār hue
harf jitne bhī ravāna the sū-e-arsh-e-barīñ
ho ke maqbūl sar-e-chashm numūdār hue
chashm-e-hairāñ ki shab-e-vasl ma.e tishna-dahan
chashm-e-mablūl sar-e-chashm numūdār hue
ek aajiz ko thamā.ī ga.ī shamshīr-e-anā
phir jo maqtūl sar-e-chashm numūdār hue
marsiya hai ki ka.ī phuul se dilkash chehre
oḌh kar dhuul sar-e-chashm numūdār hue
kīna-o-buġhz-o-anā hirs-o-adāvat ranjish
kitne mahsūl sar-e-chashm numūdār hue
dard-e-āshob ḳhalish shabnam-o-taskīñ 'ehrām'
ban ke mahlūl sar-e-chashm numūdār hue