jab se maddham mirī qismat ke sitāre hue haiñ
naf.a ke naam pe bhī mujh ko ḳhasāre hue haiñ
ek tum ho ki muqaddar ke sikandar Thahre
ek ham haiñ ki jo hālāt ke maare hue haiñ
bhuul jaate haiñ har ik dāġh-e-jigar iid ke din
par vo lamhe jo tire saath guzāre hue haiñ
ek jhapkī meñ hī mumkin hai ki kañkar ban jaa.eñ
ye jo kuchh log tirī aañkh ke taare hue haiñ
baat kuchh yuuñ hai ki kuchh yaad nahīñ hai ham ko
haañ magar raat ko ruḳhsat jo sitāre hue haiñ
ye sitāre tirī tashbīh ke qābil nahīñ haiñ
ye sitāre to tire sar ke utāre hue haiñ
kyā hameñ bhī koī ā.īna banā saktā hai
ham ne sahrā meñ ka.ī saal guzāre hue haiñ
vaqt mil jaa.e to ham par bhī karam kar denā
kab se dāman tirī chaukhaT pe pasāre hue haiñ