babūl kar diyā badan javāñ rutoñ kī chaah ne
jalā diyā gulāb ko chaman kī sard aah ne
sitam-zarīf yuuñ adālatoñ meñ chup khaḌe haiñ sab
ki jaise sī liye hoñ lab subūt ne gavāh ne
kisī ko ḳhaas manziloñ kā shauq aam kar gayā
kisī ko ḳhaas kar diyā hai aam shāhrāh ne
nigāh-e-be-zabān ne girā diyā zamīn par
chaḌhā diyā hai daar par zabān-e-be-nigāh ne
vahī nagīne pattharoñ ke daam bik rahe haiñ ab
kabhī jo taaj meñ lagā rakhe the tere shaah ne
maiñ āḳhirī ġhazal sunā ke uTh rahā thā bazm se
ki muuD phir banā diyā kisī kī vaah vaah ne