palkoñ kī oT meñ vo chhupā le gayā mujhe
ya.anī nazar nazar se bachā le gayā mujhe
ab us ko apnī haar kahūñ yā kahūñ maiñ jiit
rūThā huā thā maiñ vo manā le gayā mujhe
muddat se ek raat bhī apnī nahīñ huī
har shaam koī aayā uThā le gayā mujhe
ho vāpsī agar to inheñ rāstoñ se ho
jin rāstoñ se pyaar tirā le gayā mujhe
ik jān-dār laash samajhiye mirā vajūd
ab kyā dharā hai koī churā le gayā mujhe
āvāgaman kī qaid se kyā chhūTtā kabhī
bas terā pyaar thā jo chhuḌā le gayā mujhe
dhartī kā ye safar mirā jis din huā tamām
jhoñkā havā kā aayā uḌā le gayā mujhe
tūfāñ ke ba.ad maiñ bhī bahut TuuT sā gayā
dariyā phir apne ruḳh pe bahā le gayā mujhe
muddat ke ba.ad 'nūr' hañsī lab pe aa.ī hai
vo apnā ham-ḳhayāl banā le gayā mujhe