iklautī jāgīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
ham terī tasvīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
baiThe baiThe āzādī ke ḳhvāb sajāte rahte haiñ phir
pairoñ kī zanjīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
kāġhaz par pechīda misroñ kī bhar-mār lagā dete haiñ
phir dīvān-e-mīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
apne tiir kamān ke chhin jaane kā girya karne vaale
auroñ kī shamshīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
daur-e-jadīd hai saare rāñjhe apne apne mobile par
apnī apnī hiir ko takte takte thak kar so jaate haiñ
din bhar saḌkoñ par injīreñ bechne vaale bhūke bachche
raat ga.e injīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ
'ġhālib' kī ġhazleñ paḌhte haiñ 'zauq' se shikva karte haiñ
'saudā' aur 'dabīr' ko takte takte thak kar so jaate haiñ
chhoTī chhoTī bātoñ par yuuñ ḳhuun ḳharāba ho jaatā hai
ham 'ehrām' zamīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ