vo mire siine se āḳhir aa lagā
mar na jā.ūñ maiñ kahīñ aisā lagā
ret maazī kī mirī āñkhoñ meñ thī
sabz jañgal bhī mujhe sahrā lagā
kho rahe haiñ rañg tere hoñT ke
ham-nashīñ in pe mirā bosa lagā
lahr ik niklī mirī pahchān kī
Dūbte ke haath meñ tinkā lagā
kar rahā thā vo mujhe gumrāh kyā
har qadam pe rāsta muḌtā lagā
kuchh nahīñ chhoḌo nahīñ kuchh bhī nahīñ
ye na.e andāz kā shikva lagā
geñd balle par kabhī baiThī nahīñ
har dafa.a mujh se faqat konā lagā
duur jaate vaqt bas itnā kahā
saath 'kānhā' aap kā achchhā lagā