ek Dar sā lagā huā hai mujhe
vo binā shart chāhtā hai mujhe
khul ke rone ke din tamām hue
ab mirā zabt dekhnā hai mujhe
mar rahā huuñ usī sukūn ke saath
saañs lene kā tajraba hai mujhe
ek jaañ ek tan haiñ hijr aur maiñ
terā aanā bhī ab sazā hai mujhe
ab maiñ ḳhāmosh hone vaalā huuñ
kyā koī shaḳhs sun rahā hai mujhe
chup rahā maiñ isī liye 'kāñhā'
mujh se behtar vo jāntā hai mujhe