sitam dekho ki jo khoTā nahīñ hai
chalan meñ bas vahī sikka nahīñ hai
namak zaḳhmoñ pe ab maltā nahīñ hai
ye lagtā hai vo ab merā nahīñ hai
yahāñ par silsila hai āñ.suoñ kā
diyā ghar meñ mire bujhtā nahīñ hai
yahī rishta hameñ joḌe hue hai
ki donoñ kā koī apnā nahīñ hai
na.e din meñ na.e kirdār meñ huuñ
mirā apnā koī chehra nahīñ hai
mirī kyā aarzū hai kyā batā.ūñ
mirā dil mujh pe bhī khultā nahīñ hai
mire hāthoñ ke zaḳhmoñ kī badaulat
tirī rāhoñ meñ ik kāñTā nahīñ hai
safar meñ saath ho guzrā zamāna
thakan kā phir patā chaltā nahīñ hai
mujhe shak hai tirī maujūdgī par
tū dil meñ hai mire ab yā nahīñ hai
tirī yādoñ ko maiñ ignore kar duuñ
magar ye dil mirī suntā nahīñ hai
zarā sā vaqt do rishte ko 'kānhā'
ye dhāga to bahut uljhā nahīñ hai