Shariq Irayani

qudrat hai turfa-kar tujhe kuchh KHabar bhi hai

Shariq Irayani

qudrat hai turfa-kār tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
vo ā.ina-shikan bhī hai ā.īna-gar bhī hai
sahrā ko chhoḌ deñ to kahāñ jā ke ye raheñ
āvārgān-e-ishq-o-mohabbat kā ghar bhī hai
masjūd kā.enāt ho jaise nazar-navāz
kitnā latīf vaqt tulū-e-sahar bhī hai
ka.abe kā ehtirām hai ik farz-e-ḳhush-gavār
maiñ kyā karūñ nazar meñ tirā sañg-e-dar bhī hai
saaqī vo mai pilā ki hamesha rahe surūr
mahfil meñ mujh sā bāda-kash-e-mo'atabar bhī hai
nā-āshnā-e-ġhairat-parvāz haiñ asiir
qaid-e-qafas meñ tazkira-e-bāl-o-par bhī hai
taqdīr naaz kartī hai hotī hai jab nasīb
'shāriq' shikast-e-dil ko naved-e-zafar bhī hai
Top Urdushayar.com