Shariq Irayani

jo bujh sake na kabhi dil mein hai wo aag bhari

Shariq Irayani

jo bujh sake na kabhī dil meñ hai vo aag bharī
balā-e-jāñ hai mohabbat meñ fitrat-e-basharī
qafas meñ ham ne hazāroñ asiir dekhe haiñ
rahā hai kis kā salāmat ġhurūr-e-bāl-o-parī
tire jamāl ke asrār kaun samjhegā
panāh maañg rahā hai shu.ūr-e-dīda-darī
safar adam kā hai dushvār tū akelā hai
mujhe bhī saath liye chal sitāra-e-saharī
banā banā ke har ik shīsha toḌ detā hai
ajiib shai hai mire shīshagar kī shīshagarī
tabāhiyoñ kā zamāna hai hoshiyār raho
ḳhabar ke rañg meñ zāhir huī hai be-ḳhabarī
junūñ kā muzhda-e-fursat ki in dinoñ 'shāriq'
ḳhirad kā dast-e-mubārak hai vaqf-e-jāma-darī
Top Urdushayar.com