badal ke dekh liye zāviye uḌānoñ ke
ḳhirad se tai na hue fāsle zamānoñ ke
samundaroñ ke tamavvuj, nahañg, vus.ateñ, ḳhauf
kahāñ pe hausle TuuTe haiñ bādbānoñ ke
falak se roz utarte haiñ raushnī ke ḳhutūt
magar na chamke muqaddar ġharīb-ḳhānoñ ke
ḳhizāñ kā zahr sarāyat huā hai rag rag meñ
gulāb-chehre hue zard gulsitānoñ ke
tulū-e-sub.h ke āsār ufuq pe haiñ shāyad
charāġh bujhne lage haiñ itāb-ḳhānoñ ke
kiran kā neza liye haath meñ chalo 'ashraf'
haiñ dev rāste meñ barf kī chaTānoñ ke