Ashraf Javed

basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de

Ashraf Javed

1955
basīt-e-dasht kī hurmat ko bām-o-dar de de
mire ḳhudāyā mujhe bhī to ek ghar de de
bashāratoñ ke sahīfe utaar āñkhoñ par
tilsim-e-shab ke kalas toḌ kar sahar de de
maiñ terā naam likhūñgā ridā-e-ka.aba par
qalam nasīb hai, alfāz mo'tabar de de
ruke hue haiñ khule pāniyoñ pe barsoñ se
havā.eñ khol de aur tāqat-e-safar de de
har ek shaḳhs ki patthar uThā.e phirtā hai
ik aa.ina hī mire shahar ko agar de de
bikhar gayā huuñ bichhaḌ ke ḳhalāoñ meñ 'ashraf'
ab aa.e, vo mujhe mujh ko sameT kar de de
Top Urdushayar.com