Ashraf Javed

gul-e-KHurshid khilaunga chala jaunga

Ashraf Javed

1955
gul-e-ḳhurshīd khilā.ūñgā chalā jā.ūñgā
sub.h se haath milā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ab to chalnā hai kisī aur hī raftār ke saath
jism bistar pe girā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ābla-pā.ī hai rusvā.ī hai raat aa.ī hai
dāman ek ik se chhuḌā.ūñgā chalā jā.ūñgā
hijr sadiyoñ ke tahayyur kī girah kholegā
ik zamāne ko rulā.ūñgā chalā jā.ūñgā
bas tujhe dekhūñgā aate hue apnī jānib
phuul qadmoñ meñ bichhā.ūñgā chalā jā.ūñgā
ishq bhī husn meñ zam hotā dikhā.ūñgā tujhe
jab diyā raqs meñ lā.ūñgā chalā jā.ūñgā
jis taraf bhuul ke bhī dekhā nahīñ aaj talak
qadam us samt baḌhā.uñgā chalā jā.ūñgā
Top Urdushayar.com