Nusrat Mehdi

aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
aap shāyad bhuul baiThe haiñ yahāñ maiñ bhī to huuñ
is zamīñ aur āsmāñ ke darmiyāñ maiñ bhī to huuñ
haisiyat kuchh bhī nahīñ bas ek tinke kī tarah
fikr-o-fan ke is samundar meñ ravāñ maiñ bhī to huuñ
be-sabab be-jurm patthar shāhzādī ban ga.ī
bas yahī thī ik sadā-e-be-zabāñ maiñ bhī to huuñ
inkisārī pā.edārī sab ravā-dārī ga.ī
jab takabbur ne kahā baḌh kar myaañ maiñ bhī to huuñ
aaj is andāz se tum ne mujhe āvāz dī
yak-ba-yak mujh ko ḳhayāl aayā ki haañ maiñ bhī to huuñ
tere sheroñ se mujhe mansūb kar dete haiñ log
naaz hai mujh ko jahāñ tū hai vahāñ maiñ bhī to huuñ
rūThnā kyā hai chalo maiñ hī manā lā.ūñ use
be-ruḳhī se us kī 'nusrat' nīm-jāñ maiñ bhī to huuñ
Top Urdushayar.com