har ik qadam pe jo pursān-e-hāl chāhiye thā
to phir use bhī hamārā ḳhayāl chāhiye thā
vo rishte-nātoñ ko rasman nibhāne aayā thā
hameñ diloñ kā ta.alluq bahāl chāhiye thā
bulandiyoñ pe tavāzun na rah sakā qaa.em
yahāñ uruuj ko thoḌā zavāl chāhiye thā
ġhazal to aap se le letī paḌh bhī detī magar
mujhe adab meñ bhī rizq-e-halāl chāhiye thā
kamāl par hai ye ehsās in dinoñ 'nusrat'
koī hameñ bhī yahāñ bā-kamāl chāhiye thā