to vo nukta hai jise dhyān meñ rakkhā gayā hai
ġhair mumkin sahī imkān meñ rakkhā gayā hai
hairateñ apnī abhī ḳhatm na hone denā
rāz-e-poshīda ik elaan meñ rakkhā gayā hai
sab shanāsā haiñ tire phir bhī to terā chehra
gum-shuda logoñ kī pahchān meñ rakkhā gayā hai
tai shuda hai yahāñ anjām azal se sab kā
faisla vaqt ke juzdān meñ rakkhā gayā hai
is qadar bojh ki shal ho ga.e baazū 'nusrat'
jaane kyā kyā mire sāmān meñ rakkhā gayā hai