ye sochiye ki kyoñ havā pe zor chal nahīñ rahā
kisī bhī ruḳh se aap kā charāġh jal nahīñ rahā
ġhalat hai ye ki vaqt kī jabīñ pe bal nahīñ rahā
magar ye pahlī baar hai ki bal nikal nahīñ rahā
maiñ āzmā.ishoñ meñ us maqām tak to aa ga.ī
ki aag meñ khaḌī huuñ aur jism jal nahīñ rahā
safar meñ ek hujūm thā magar ye raaz ab khulā
ki koī bhī yahāñ kisī ke saath chal nahīñ rahā
harārateñ to aa ga.iiñ tamāzatoñ talak magar
hai darmiyāñ jo barf ki pahāḌ gal nahīñ rahā