Nusrat Mehdi

rut KHizan ki hai aur hari hui hai

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
rut ḳhizāñ kī hai aur harī huī hai
shāḳh-e-gul tū to bāvrī huī hai
kyā uḌānoñ ko hausla degī
ai havā tū to ḳhud Darī huī hai
zindagī mil kabhī to fursat se
baat abhī tujh se sarsarī huī hai
koī manzar nahīñ hai āñkhoñ meñ
ratjagoñ kī thakan bharī huī hai
qurbateñ karvaTeñ badaltī huī
aur anā beach meñ dharī huī hai
ye jo baiThe haiñ sar jhukā.e hue
aaj in se kharī kharī huī hai
ḳhud-kalāmī hai ye tirī 'nusrat'
mat abhī soch shā.irī huī hai
Top Urdushayar.com