Nusrat Mehdi

apni be-chehragi bhi dekha kar

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
apnī be-chehragī bhī dekhā kar
roz ik aa.ina na toḌā kar
tū jidhar jaa.e din nikal aa.e
raushnī kā mizāj paidā kar
ye sadī bhī kahīñ na kho jaa.e
apnī marzī kā koī lamha kar
dhuup meñ isti.āra bādal kā
tū agar hai to yaar saaya kar
chāra-sāzī to kar rahe haiñ ġham
tū mire āñsuoñ kā saudā kar
jaane kab chhoḌ kar chalī jaa.e
zindagī kā na yuuñ bharosa kar
mas.ale haiñ to hal bhī nikleñge
paas aa saath baiTh charchā kar
Top Urdushayar.com