amal kā radd-e-amal vaqt kā javāb huuñ maiñ
qubūl kījiye qudrat kā intiḳhāb huuñ maiñ
aziyyatoñ kā safar sabr aur ḳhāmoshī
abhī to saare mahāzoñ pe kāmyāb huuñ maiñ
tumhāre shauq meñ shāmil nahīñ junūn abhī
tumhārī tishna-labī ke liye sarāb huuñ maiñ
anā pe aa.ī to Takrā ga.ī huuñ dariyā se
bisāt vaise mirī kuchh nahīñ habāb huuñ maiñ