ishq meñ majnūñ-o-farhād nahīñ hone ke
ye na.e log haiñ barbād nahīñ hone ke
ye jo da.ave haiñ mohabbat ke abhī haiñ jānāñ
aur do-chār baras baad nahīñ hone ke
kyā kahā toḌ ke lāoge falak se taare
dekho in bātoñ se ham shaad nahīñ hone ke
naqsh haiñ dil pe mire ab bhī tumhāre va.ade
ḳhair chhoḌo vo tumheñ yaad nahīñ hone ke
ghar liye phirtī huuñ har vaqt tumhāre pīchhe
tum magar vo ho ki ābād nahīñ hone ke
man.a hai rasm-o-rivājoñ se baġhāvat karnā
ye sabaq mujh ko magar yaad nahīñ hone ke
ham ne ḳhud pahnī hai 'nusrat' ye vafā kī zanjīr
ham to ḳhud hī kabhī āzād nahīñ hone ke