dard sulgāyā gayā aañch baḌhā lī ga.ī hai
jaan ThiThure hue rishtoñ kī bachā lī ga.ī hai
ghar kī dahlīz pe lauTā hai pashemāñ koī
dasht sab chhān liye ḳhaak uḌā lī ga.ī hai
ain mumkin thā chhalak jaate hamāre aañsū
sā.at-e-ġham baḌī tarkīb se Taalī ga.ī hai
rāsta kar diyā hamvār kisī kā ham ne
ek dīvār-e-anā thī jo girā lī ga.ī hai
raas aa.ī na kabhī gosha-nashīnī 'nusrat'
bārhā yuuñ mirī tanhā.ī khañgālī ga.ī hai