Nusrat Mehdi

aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
ājizī aaj hai mumkin hai na ho kal mujh meñ
is tarah aib nikālo na musalsal mujh meñ
zindagī hai mirī Thahrā huā paanī jaise
ek kañkar se bhī ho jaatī hai halchal mujh meñ
maiñ ba-zāhir to huuñ ik zarra zamīñ par lekin
apne hone kā hai ehsās mukammal mujh meñ
aaj bhī hai tirī āñkhoñ meñ tapish sahrā kī
karvaTeñ letā hai ab bhī koī bādal mujh meñ
jo añdheroñ meñ mere saath chalā bachpan se
ab vo taarā bhī kahīñ ho gayā ojhal mujh meñ
ḳhvāhisheñ aa ke lipaT jaatī haiñ sāñpoñ kī tarah
jab mahaktā hai tirī yaad kā sandal mujh meñ
ab vo aayā to bhaTak jā.egā rasta 'nusrat'
ab ghanā ho gayā tanhā.ī kā jañgal mujh meñ
Top Urdushayar.com