Nusrat Mehdi

ghalat-bayani pe uski yaqin dikhati rahi

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
ġhalat-bayānī pe us kī yaqīñ dikhātī rahī
maiñ sab samajhtī rahī aur muskurātī rahī
ye soch kar ki taġhāful to us kī fitrat hai
maiñ apne dil ko baḌī der tak manātī rahī
use to lauT ke aanā hī thā vo lauT aayā
magar vo aayā to hāthoñ se umr jaatī rahī
ajab rivāyatī aurat hai zindagī merī
hamesha hasb-e-zarūrat hī chāhī jaatī rahī
use chaman kī bahār-o-ḳhizāñ se kyā matlab
vo ek bholī sī chiḌiyā thī chahchahātī rahī
vo din ki bojh kaḌī dhuup meñ uThātā rahā
maiñ ratjagoñ kī thakan oḌhtī bichhātī rahī
nazar meñ rahnā thā 'nusrat' to us kī palkoñ se
tamām umr maiñ gard-e-safar haTātī rahī
Top Urdushayar.com