Nusrat Mehdi

yahan hawa ke siwa raat bhar na tha koi

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
yahāñ havā ke sivā raat bhar na thā koī
mujhe lagā thā koī hai magar na thā koī
thī ek bhiiḌ magar ham-safar na thā koī
safar ke vaqt judā.ī kā Dar na thā koī
vo raushnī kī kiran aa.ī aur chalī bhī ga.ī
khulā huā mirī bastī kā dar na thā koī
bas ek baar vo bhūlā thā ghar kā darvāza
phir us ke jaisā yahāñ dar-ba-dar na thā koī
jhulas ke rah ga.e āñgan meñ dhuup se paude
ki sāya-dār purānā shajar na thā koī
ye aur baat rahā be-niyāz mahfil meñ
yuuñ mere haal se vo be-ḳhabar na thā koī
Top Urdushayar.com