ik ta.alluq nahīñ sambhlā to bhañvar tak pahuñchā
dekhte dekhte paanī mire sar tak pahuñchā
tujh se bichhḌe to na raas aa.ī koī bhī manzil
phir junūñ merā tirī rāhguzar tak pahuñchā
is qadar dhuup meñ shiddat thī ki ghabrā kar dil
saa.e kī aas meñ be-sāya shajar tak pahuñchā
kho gayā din ke ujāloñ se milā kar mujh ko
ek sitāra jo mire saath sahar tak pahuñchā
ik takabbur se hunar aib meñ tabdīl huā
aib ehsās-e-nadāmt se hunar tak pahuñchā
ek be-samt bagūlā thā vo 'nusrat' jis ne
shakl insān kī dhārī mire ghar tak pahuñchā