ye na samjho ki kisī dard ke iz.hār meñ thī
aarzū vaqt ke TuuTe hue pindār meñ thī
jaane kyā DhūñDhtā phirtā thā yahāñ merā vajūd
ik udāsī mire ghar ke dar-o-dīvār meñ thī
merī taḳh.īl meñ alfāz kī zanjīreñ thiiñ
zindagī varna zamāne tirī raftār meñ thī
kartī phirtī thī ujāloñ kī qabā merī talāsh
aur maiñ thī ki añdheroñ ke kisī ġhaar meñ thī
log samjhe hī nahīñ mere hunar ko varna
mujh meñ fankār thā poshīda maiñ fankār meñ thī