buland azm ho gayā paroñ meñ kaaT aa ga.ī
havā to aur tā.eroñ kī himmateñ baḌhā ga.ī
khilegā dil kā phuul bhī zarā sā intizār kar
abhī ye jāñ-fazā ḳhabar sabā mujhe sunā ga.ī
hisār-e-zāt se pare jahān ek aur hai
mujhe ye vus.at-e-nazar nayā ufuq dikhā ga.ī
banā.e the jo aarzū ne sāhiloñ pe baiTh kar
tamām ret ke vo ghar bas ek mauj Dhā ga.ī
hameñ to ḳhauf thā yahī ki ḳhaak kar na deñ kahīñ
lagī jo aag ishq kī to ā.īna banā ga.ī
parā.e āñchaloñ meñ vo to chhāñv DhūñDhtā rahā
idhar havā-e-be-rahm ridā mirī uḌā ga.ī
chalo ki kal mileñge phir ye qisse kal pe chhoḌ do
zamīñ pe qumqume jale falak pe raat chhā ga.ī
jo 'nusrat' aaj kho ga.ī udāsiyoñ meñ do ghaḌī
gumān sab ko ye huā ġhamoñ se maat khā ga.ī