Nusrat Mehdi

honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
honī huuñ kisī haal meñ Talne kī nahīñ huuñ
maiñ vaqt ke hāthoñ se nikalne kī nahīñ huuñ
ye baat sahī TuuT ke bikhrī to bahut huuñ
ye baat ġhalat hai ki sambhalne kī nahīñ huuñ
lagtā hai jaḌeñ phail ga.ī haiñ mirī tujh meñ
ukhḌī to kahīñ phūlne-phalne kī nahīñ huuñ
pahchān zamāne meñ yahī hai mirī ab maiñ
kirdār kahānī meñ badalne kī nahīñ huuñ
maiñ huuñ pas-e-manzar kī bhī takmīl meñ shāmil
bas is liye manzar se nikalne kī nahīñ huuñ
be-ḳhauf jo sach boltā rahtā hai hamesha
vo aa.ina apnā maiñ badalne kī nahīñ huuñ
vahshat hai bahut ḳhuun meñ 'nusrat' isī Dar se
sahrā kī taraf jā ke Tahalne kī nahīñ huuñ
Top Urdushayar.com