fazā meñ phailī huī tīrgī meñ shāmil huuñ
sukūt-e-shab maiñ tirī ḳhāmushī meñ shāmil huuñ
hai buzdilī kī alāmat ye ḳhāmushī lekin
maiñ apne ahd kī is buzdilī meñ shāmil huuñ
ayaañ zamāne meñ tū bhī nahīñ hai aur maiñ bhī
bahut sī bātoñ kī poshīdgī meñ shāmil huuñ
sunā to ḳhuub gayā hai mujhe magar phir bhī
ye lag rahā hai kisī an-kahī meñ shāmil huuñ
yahī nahīñ ki zabāneñ huī haiñ zahrīlī
maiñ un ke zehn kī ālūdgī meñ shāmil huuñ
agar ye sach hai to mahsūs kyoñ nahīñ hotā
ai vaqt maiñ tirī maujūdgī meñ shāmil huuñ
qafas meñ jo ye parinda hai taak meñ 'nusrat'
maiñ us ke jazba-e-āmādgī meñ shāmil huuñ