vo saath aayā to merī uḌaan baiTh ga.ī
na jaane kyā huā mujh meñ thakān baiTh ga.ī
phir is ke baad parinde zamīñ pe girne lage
kisī kī aah sar-e-āsmān baiTh ga.ī
qarīb thā ki ta.alluq bahāl ho jaatā
ajab ḳhamoshī magar darmiyān baiTh ga.ī
havelī chhoḌ ke sab log chal diye lekin
har ek hujre meñ ik dāstān baiTh ga.ī
bulandiyoñ pe pahuñch kar maiñ ḳhush bahut thī magar
zamīñ kī samt jo dekhā to jaan baiTh ga.ī
zabāñ-darāzoñ se 'nusrat' kahāñ talak laḌtī
so dil pe sabr kī rakh kar chaTān baiTh ga.ī