Nusrat Mehdi

andheri raat ko din ke asar mein rakkha hai

Nusrat Mehdi

Nagina, Uttar pradesh, India

1970
añdherī raat ko din ke asar meñ rakkhā hai
charāġh ham ne tirī rahguzar meñ rakkhā hai
ye hausla jo abhī bāl-o-par meñ rakkhā hai
tumhārī yaad kā jugnū safar meñ rakkhā hai
makāñ meñ sone ke shīshe ke log hoñ jaise
kisī kā nuur kisī kī nazar meñ rakkhā hai
ye chāhtī huuñ inhī dā.eroñ meñ jaañ de duuñ
kuchh itnā soz hī raqs-e-bhañvar meñ rakkhā hai
palak jhapakte hī tahlīl ho na jaa.e kahīñ
abhī to ḳhvāb sā manzar nazar meñ rakkhā hai
mujhe to dhuup ke mausam qubūl the lekin
ye saayā kis ne mirī dopahar meñ rakkhā hai
Top Urdushayar.com