milā kisī se na achchhā lagā suḳhan is baar
banā hai lāshoñ ke a.azā se ye badan is baar
sunā hai tīnoñ ruteñ saath saath ā.eñgī
qamīs Daal ke niklūñ khule baTan is baar
havā kī maut se Dole na qatl-e-āb se ham
tamām chīzoñ pe bhārī paḌī thakan is baar
bahut se shahr bahut sī fazā bahut se log
magar hai sab meñ koī bū koī saḌan is baar
chhupā.ūñ ruuh ko kyuuñ tan se tan ko kapḌoñ se
utaar kyuuñ na chalūñ saare pairahan is baar
ḳhalā kī aag to 'tafzīl' ne bujhā.ī magar
zamīñ pe vo nahīñ girtā hai carbon is baar