Tafzeel Ahmad

pahaDon ko bichha dete kahin khai nahin milti

Tafzeel Ahmad

Tatanagar, Jharkhand, India

1954
pahāḌoñ ko bichhā dete kahīñ khaa.ī nahīñ miltī
magar ūñche qadam rakhne ko ūñchā.ī nahīñ miltī
akelā chhoḌtā kab hai kisī ko lā-shu.ūr-e-tan
kisī tanhā.ī meñ bharpūr tanhā.ī nahīñ miltī
ġhanīmat hai ki ham ne chashm-e-hasrat paal rakkhī hai
zamāne ko ye hasrat bhī mire bhaa.ī nahīñ miltī
fusūn-e-reg meñ maujeñ bhī haiñ daldal bhī hote haiñ
magar sahrā samundar the ye sachchā.ī nahīñ miltī
tirī ḳhālis kiran kī aag hai taif-e-tasavvur meñ
quzah bantī nahīñ mujh meñ to bīnā.ī nahīñ miltī
nichoḌī jā chukī hai miTTī ikahrā ho gayā paanī
anāsir mil bhī jaate haiñ to ra.anā.ī nahīñ miltī
ġhazal kah ke sukūñ 'tafzīl' miltā hai magar miTTī
ise laavā ugal kar bhī shakebā.ī nahīñ miltī
Top Urdushayar.com