ik pareshānī alag thī aur pashemānī alag
umr bhar karte rahe ham duudh aur paanī alag
ret hī donoñ jagah thī zer-e-mehr-o-zer-e-āb
misra-e-ūlā se kab thā misra-e-sānī alag
dasht meñ pahle hī raushan thī babūloñ par bahār
de rahe haiñ shahr meñ kāñToñ ko sab paanī alag
kuchh kumak chāhī to zambīl-e-havā ḳhālī milī
ghāTiyoñ meñ kho gayā naqsh-e-sulaimānī alag
ret samjhaute kī ḳhātir nāchtī hai dhuup meñ
bādaloñ kī zid judā hai merī man-mānī alag
mudda.ī haiñ barf baalū raat kāñTe tap havā
jism par hai faujdārī jaañ pe dīvānī alag
vo falak sañgīt meñ miTTī kī dhun to kyā huā
sāregāmā se kahīñ hotā hai pādhānī alag
fan meñ tāqat-var bahāv chashm-e-do-ābā kā hai
'zeb-ġhaurī' se kahāñ 'tafzīl' haiñ 'bānī' alag