Tafzeel Ahmad

mehwar pe bhi gardish meri mehwar se alag ho

Tafzeel Ahmad

Tatanagar, Jharkhand, India

1954
mehvar pe bhī gardish mirī mehvar se alag ho
us bahr meñ tairūñ jo samundar se alag ho
apnā bhī falak ho magar aflāk se haT ke
ho bojh bhī sar kā to mire sar se alag ho
maiñ aisā sitāra huuñ tirī kāhkashāñ meñ
maujūd ho manzar meñ na manzar se alag ho
dīvār-e-numā.ish kī ḳharāshoñ kā huuñ maiñ rañg
har lamha vo dhāga hai jo chādar se alag ho
us ātish-e-afsūñ ko koī kaise bujhā.e
jis aag meñ ghar jaltā ho vo ghar se alag ho
chhatrī rakhūñ us abr-e-siyah-gām kī ḳhātir
kuufī bhī na ho aur bahattar se alag ho
rab aur tamannā-e-duī vahm-e-bashar hai
ham-zād to kyā aks bhī dāvar se alag ho
dāman meñ vo duniyā hai jo duniyā se judā hai
aa.e vo qayāmat bhī jo mahshar se alag ho
paare kī tarah shahr kā bikhrāo hai 'tafzīl'
aisā koī batlāo jo andar se alag ho
Top Urdushayar.com