Tafzeel Ahmad

lahron mein bhanwar niklenge mehwar na milega

Tafzeel Ahmad

Tatanagar, Jharkhand, India

1954
lahroñ meñ bhañvar nikleñge mehvar na milegā
har mauj meñ paanī bhī barābar na milegā
gir jaatī hai roz ek parat raakh badan se
jalne kā samāñ phir bhī kahīñ par na milegā
chashmak bhī jo rakhnī hai to chauthā.ī zamīñ se
shorīda zabāñ kaise samundar na milegā
har samt dimāġhoñ ke tarañgoñ kā hai shab-ḳhūñ
taknīk kī is jañg meñ lashkar na milegā
raste hī meñ jal bujhtī hai mahtābī-e-anjum
sābit ko to sayyār kā zevar na milegā
karte haiñ hifāzat sabhī dīvār-e-anā kī
raḳhne ke barābar bhī kahīñ dar na milegā
kūza-gar-e-qāmūs kahāñ 'zeb' sā 'tafzīl'
simTā huā kāġhaz pe samundar na milegā
Top Urdushayar.com