Tafzeel Ahmad

sitam-zarifi ki surat nikal hi aati hai

Tafzeel Ahmad

Tatanagar, Jharkhand, India

1954
sitam-zarīfī kī sūrat nikal hī aatī hai
raqīb kī bhī zarūrat nikal hī aatī hai
qadam rakheñ to kahāñ āb-o-reg-o-ḳhāk pe ham
sabhī jagah koī turbat nikal hī aatī hai
hisāb-e-qurb-o-kashish kar ke kyuuñ hoñ sharminda
mire lahū kī to qīmat nikal hī aatī hai
hai pul-sirāt kī hī bū-nisā.ī rāh-e-jahāñ
yahāñ bhī hashr kī hālat nikal hī aatī hai
baḌe zamāne se huuñ dushmanoñ kī āñkhoñ meñ
kisī meñ chashm-e-muravvat nikal hī aatī hai
maiñ mirkaza huuñ magar mirkaza bhañvar kā huuñ
kisī bhī mauj se qurbat nikal hī aatī hai
ye shā.irī hai paḌosī ke pattharoñ ke sabab
tarāshtā huuñ to jiddat nikal hī aatī hai
Top Urdushayar.com