shahr ko choT pe rakhtī hai gajar meñ koī chiiz
billiyāñ DhūñDhtī rahtī haiñ khañDar meñ koī chiiz
chaak haiñ zaḳhm ke paanī meñ havā meñ nāsūr
muTThiyāñ tol ke niklī hai safar meñ koī chiiz
bārhā āñkheñ ghanī kartā huuñ us pe phir bhī
chhūT rahtī hai nigah se gul-e-tar meñ koī chiiz
kabhī baiThak se rasoī kabhī dālān se chhat
bāvlī phirtī hai tujh bin mire ghar meñ koī chiiz
zindagī aag pe leTī huī parchhā.īñ hai kyā
bas dhuāñ detī hai har vaqt jigar meñ koī chiiz
shahr-e-sānī meñ shajar-kārī na kī dānista
phir nikal aa.e kahīñ barg-o-samar meñ koī chiiz
hashr tak jiitī raheñgī mirī ġhazleñ 'tafzīl'
oxigen sī labālab hai hunar meñ koī chiiz