ḳhāmosh bhī rah jaa.e aur iz.hār bhī kar de
tasvīr vo hāziq hai jo bīmār bhī kar de
ham se to na hogī kabhī is tarah mohabbat
jo had se guzarne pe gunahgār bhī kar de
is baar bhī tāvīl-e-shab-o-roz na.ī hai
mumkin hai vo qaa.il mujhe is baar bhī kar de
aflāk-talāshī meñ huuñ us burj kī ḳhātir
jo mere ḳhazāne ko falak paar bhī kar de
āhañg-e-tasavvur se jo larzish hai ragoñ meñ
us ko mire ḳhāme kā sarokār bhī kar de
vo bait jo masdūd meñ rauzan kā sabab haiñ
un ko gul-e-āveza-e-dīvār bhī kar de
qirtās pe 'tafzīl' ravāñ juue kalī-rañg
shāyad mire lafzoñ ko mazedār bhī kar de