vahī be-libās kyāriyāñ kahīñ bel būToñ ke bal nahīñ
tujhe kyā bulā.ūñ maiñ baaġh meñ kisī peḌ par koī phal nahīñ
hue ḳhushk bahr to kyā huā mirī naav zor-e-havā pe hai
mire bādbāñ haiñ bhare hue so balā se ret meñ jal nahīñ
hai dabāv ashra havās par haiñ tamām uzv khiñche rabar
huuñ uthal-puthal se ghirā magar mujhe izn-e-radd-e-amal nahīñ
kisī be-ġhurūb nigāh se kisī lā-zavāl shuā meñ
sabhī zāviyoñ se alag-thalag mujhe hal karo mirā hal nahīñ
tirī niiñd se baḌī aañkh meñ mujhe tābkār kare kiran
mujhe aisī dhaat kā qalb de jise ḳhauf-e-radd-o-badal nahīñ
kahīñ pāniyoñ meñ bichhī na ho kabhī sāhiloñ sī khulī na ho
vo zamīñ de mere jahāz ko jahāñ dūsre kī pahal nahīñ
sabhī sard-o-garm ibārateñ mire ḳhāl-o-ḳhad kā haiñ zāhirā
jise taḳhliye kī amiiñ kahūñ vo sunāne vaalī ġhazal nahīñ