tanhā kar ke mujh ko salīb-e-savāl pe chhoḌ diyā
maiñ ne bhī duniyā ko us ke haal pe chhoḌ diyā
ik chiñgārī ik jugnū ik aañsū aur ik phuul
jaate hue kyā kyā us ne rūmāl pe chhoḌ diyā
paara paara ḳhushbū chakrātī hai kamre meñ
aag jalā ke shīra us ne ubaal pe chhoḌ diyā
pahle us ne barsā.e ākāsh pe saare tiir
phir dhīre se ghoḌe ko pātāl pe chhoḌ diyā
uThne vaalā hai bāzār kahūñ kyā yūsuf se
sikkoñ kā thailā maiñ ne Tiksāl pe chhoḌ diyā
tāzīrāt pe dil mahshar tan larza chehra faq
rab ne chashm-e-do-qatra sayyāl pe chhoḌ diyā
pashmīne sā maazī thā 'tafzīl' samor sā haal
mustaqbil ko uunī havā kī taal pe chhoḌ diyā