avval vahī sairāb thā saanī bhī vahī thā
patthar se guzartā huā paanī bhī vahī thā
nau-ḳhez duāoñ kā shajar-kār bhī niklā
bosīda tamannāoñ kā baanī bhī vahī thā
āñkhoñ pe jo rakhtā rahā rūmāl-e-tasallī
nam-dīda-gar-e-naql-e-makānī bhī vahī thā
āyāt-e-irāda pe vahī nuur kī uñglī
aurāq-siyah-tar kā giyānī bhī vahī thā
kaukab sā damaktā thā dhueñ meñ gul-e-shīsha
arzañg bichhā.e hue maanī bhī vahī thā
'tafzīl' thā ik āmad-o-ilhām kā shā.ir
baaqī vahī urdu meñ hai faanī bhī vahī thā