lab-e-mantiq rahe koī na chashm-e-lan-tarānī ho
zamīñ phir se murattab ho falak par nazar-e-sānī ho
abhī tak ham ne jo māñgā tire shāyāñ nahīñ māñgā
sikhā de ham ko kun kahnā jo terī mehrbānī ho
ḳhas-e-be-mājrā haiñ ḳhaar be-bāzār haiñ to kyā
numū-shahkār ham bhī haiñ hamārī bhī kisānī ho
mileñge dhuup kī maarī chaTānoñ meñ bhī ḳhvāb-e-nam
koī ḳhushkī nahīñ aisī jahāñ tah meñ na paanī ho
lahū ko bhī tanaffus hī ravāñ rakhtā hai ḳhaliyoñ meñ
bahe sahrā meñ bhī kashtī agar zor-e-duḳhānī ho
baḌā surḳhāb par niklā badan kā ḳhūñ-chakāñ rahnā
shafaq sayyāh kī lāzim thī rañgat arġhavānī ho
taḳhātub ke liye 'tafzīl' abjad mere hāzir haiñ
koī naqqara-ḳhāna ho ki bait be-zabānī ho